Friday 2 February 2018

shehar-e-biyabaa'n

koi khushi me na gham me shareek hai 
ye shehar ajeeb-o-ghareeb hai 
hain ajeeb yahan ke qaaidey 
kuch ajeeb hi han rivaayaten 
na kisi ko kisi ki khabar yahan 
na koi ksi k qareeb hai !! 

har chehra ek naqaab hai 
har hansi me chhupa raz hai 
yahan sarhadon ka zikr kia
har ghar me ek mahaaz hai! 


yahan shohraton ki shaan hai
yahan rupiya hi emaan hai
yehi qaaidah qanoon hai
yehi is shehar ki jaan hai!! 


insaaniyat-o-jazbaat kiya..? 

yahan rishton ki auqaat kiya..?
kiya wafa hai aur eisaar kiya..?
kiya dosty hai aur piyaar kiya..?
sab dafn hote ja rahe han..
..is shehar ki dhoool mei
ye nayi emaaraton ka shehar hai !!
ye shehar ajeeb-o-ghareeb hai !! 



No comments:

Post a Comment