Kabhi Ruk Gaye kabhi chal diye
kabhi chaltay chaltay bhatak gaye
yunhi umar saari guzaar di
yunhi zindagi ke sitam sahay
kabhi neend mein kabhi hosh mein
tu jahan mila tujhe dekh kar
na nazar mili na zuban mili
yunhi sar jhuka ke guzar gaye
kabhi zulf par kabhi chashm par
kabhi tere haseen wajood par
jo pasand thay meri kitab mein
woh shair saray bikhar gaye
kabhi arsh par kabhi farsh par
kabhi unke dar kabhi dar badar
gham e aashiqi tera shukriya
hum kahan kahan se guzar gaye
Poet: Parveen Shakir
Voice: Junaid