ye kya hua do lamho’n me sab kuchh bikhar gaya!!
koi shakhs dil ke tukdon pe hokar guzar gaya!!
sab kuchh luta luta sa bikhra yahan wahan......
jaise kisi chaman se tufaan guzar gaya !!
laga jase sab kuchh tham sa gaya ho!!
waqt jaise lamhon me jam sa gaya ho !!
Khushiyon ko jaise gehan lag gaya ho!!
Kahan se mai launga ab wo zamana
Wo naraz hona wo hansna hansaana
Wo halki si aahat, tera chaunk jana!
Wo baaton hi baton me raaten jagaana!
Kahan se mai launga ab wo zamana..
Deewar o dar ko manaaunga kaise?
Wo masoom yaaden bhulaaunga kaise?
ghuti ghuti si aahen bhi khaamosh ho gayin!!
hairatzadah nigaahen bhi kuchh door tak gayin...
chaaha bahot ke rok lun,
aawaaz doon use..
khud badhke haath thaam loon,
jaane na doo'n use!!
lekin tamaam koshishen nakaam ho gayin
Shayad is zindagi ki yahin shaam ho gyi
Andhera hawaaon me gehra rha tha
nigaahon me saaya sa lehra raha tha..
Wo ek shakhs tha...jo chala ja rha tha...!!
Meri jaan tha wo .. jo chala ja rha tha...