Saturday 14 April 2012

Pesh Lafz

Khamosh Nazar

Azeez doston,
Meri chhoti si dil-o-nazar ki duniya me aapka tah-e-dil se khairmaqdam hai :)
Mai koi bazaabta writer to nahi  lekin apne ehsasaat ko alfaaz ka jama pehnane ki koshish karta hun.., urdu adab me dilchaspi ke sabab padhne ke sath sath kuch likhne ki bhi khwahish bedaar hoti hai,wo kahte hain na jise padhne ka shauq hota hai use kabhi na kabhi likhne ka zauq bhi…to isi khwahish ki taskeen-o-takmeel ke liye apne ehsasaat-o-takhayyulaat ko qalam k lahu me jazb karke lafzon me jaan dalne ki koshish karta hun..,kabhi ye koshish kaamyaab ho jati hai aur kabhi safhon me hi dam tod jati hai.
Alhamdulillah..ke Allah ne insaan ko nazar ata ki jiske bina insani tasawwur hi tareek hai ! jiske hone se zindagi hai, kaayenaat raushan hai, is basarat ke sath khuda ne insaan ko baseerat bhi enayat ki  jiska ta'alluq qulb-o-aqal se hai,jo poshidah nazar hai jise dil ki beenaai, aqal ki daanaaee bhi kaha jata hai , zaahiri nazar ke bar'aks iski wus'at mahdood nahi, jo har shai me pinha kai aur rang kai aur pehluon se raushnaas karati hai,phir wo shai chahe koi insani shakhsiyat ho ya qudrati takhleeq ya qaul-o-hikayat ho, Jaun Elia hon ya Iqbal hon, soch ke naye zaaviye kholte huye aqal k parde hatati hai aur khoob samajh me aane lagti hai.
Pas mai bhi apni khamosh nazar se koshish krta hun mushaahide ki,un baton un pehluon ko chhoone aur samajhne  ki jo bazahir nazar nahi atin lekin agar aqal-o-khirad pe zor dalen to sab aashkara hai-

"Uski nigah me bujhte charaghon ka tha guma'n
 Uski     hansii     mei     karah  aansuon     ki thi
 Ahl-e-mahfil   ko   wo    bada khushbash sa laga
  Ahl-e-nazar   ki  nazar  uski gustakhiyon pe  thi"
....junaid



4 comments:

  1. assslamualaikum...........:) bht bht bht mabarak ho apko apki ''khamosh nazar''.......
    allah aapko aise e tarqqi deta rahe....kaamyabi de... khair izzat or aafiyat or sukun k... :)!!! apne shouq ko kabhhi halke main mat lena...apne isshouq ko bht oupar le k jana......!!!chahe side by side hi q na ho...
    or last ka sher to.... :) bht acha... !! bht bht acha....
    "Uski nigah me bujhte charaghon ka tha guma'n
    Uski hansii mei karah aansuon ki thi
    Ahl-e-mahfil ko wo bada khushbash sa laga
    Ahl-e-nazar ki nazar uski gustakhiyon pe thi"

    ReplyDelete
  2. walaikum assalam... :) bht bht shukriya ..pasandeedgii ka ..nek khwahishaat ka aur apne qeemti coment se nawazne ka!!

    ReplyDelete
  3. I really Want to congratulate you, Mr. Junaid, on this step for your love for Urdu language.And pray to God for persistance of your love for Lnguage.

    "Hain Aur bhi Duniya main Sukhanwar Bohut Achhe......"

    //Kashif

    ReplyDelete
  4. thanxx kashif :) for sch a b'ful comment

    ReplyDelete